Wednesday, 26 October 2016

Woh cheezein jin se rozah makrooh nahin hota

Woh cheezein jin se rozah makrooh nahin hota

1) Surma lagana.
✺ (Shaami: 7/395, Baabu Maa Yufsidus Saum)

2) Badan par tel malna ya sar mein tel daalna.
✺ (Shaami: 7/395, Baabu Maa Yufsidus Saum)

3) Thandak ke liye gusl karna.
✺ (Shaami: 7/48, Baabu Maa Yufsidus Saum)

4) Miswaak karna agarche taazi ya tar shaakh ki ho.
✺ (Shaami: 7/481, Baabu Maa Yufsidus Saum)

5) Kushbu lagaana ya soonghna.
✺ (Shaami: 7/474, Baabu Maa Yufsidus Saum)

6) Bhoole se kuchh kha pee lena.
✺ (Shaami: 7/390, Baabu Maa Yufsidus Saum)

7) Khud ba khud bila qasd qaye ho jaana, kam ho ya ziyaada ek martaba ho ya thodi thodi kai martaba ho.
✺ (Shaami: 7/416, Baabu Maa Yufsidus Saum)

8) Apna thook nigalna.
✺  (Shaami: 7/413, Baabu Maa Yufsidus Saum)

9) Bila qasd makkhi ya dhuyein ka halaq se utar jaana.
✺ (Shaami: 7/394, Baabu Maa Yufsidus Saum)

In tamaam cheezon se rozah na toot'ta hai aur na hi makrooh hota hai.
Share on: Email | Telegram | WhatsApp