Friday, 2 June 2017

Rozah Kis Par Farz hai?

Rozah Kis Par Farz hai?

Ramzaan Shareef ke roze har musalmaan aaqil, baalig, mard-o-aurat par farz hain. (in ki farziyat ka inkaar karne waala kaafir aur bila uzar chhodne waala sakht gunehgaar aur faasiq hai).

Agarche naabaalig par rozah farz nahin, lekin aadat daalne keliye baalig hone se pehle hi se rozah rakhwaane aur Namaaz padhwaane ka hukm hai.

Share on: Telegram | WhatsApp

Thursday, 1 June 2017

Woh Majbooriyan Jin Se Rozah Na Rakhna Jaaiz ho jaata hai

1) Sharai musaafir keliye haalate Safar Mein Rozah na Rakhna Jaaiz hai, lekin agar safar mein mashaqqat na ho to rozah rakhna behtar hai. (Shaami: 7/488, Fasl Fil Awaarizul Mubiha)

2) Marz yani aisi beemaari ke jis ki )wajahse rozah rakhne ki taaqat na ho ya beemaari ke badh jaane ka andesha ho. (Shaami: 7/488, Fasl Fil Awaarizul Mubiha)

3) Bahot ziyaada kamzor hona. (Shaami: 7/489, Fasl Fil Awaarizul Mubiha)

4) Haamela hona, jab ke aurat ko ya hamal ko rozeh se nuqsaan pahunchne ka gaalib gumaan ho. (Shaami: 7/488, Fasl Fil Awaarizul Mubiha)

5) Doodh pilaana, jab ke Doodh pilaane waali ko ya bachhe ko rozeh se nuqsaan pahunchta ho. (Shaami: 7/488, Fasl Fil Awaarizul Mubiha)

6) Rozeh ki Wajah se is qadar bhook ya pyaas ka galba ho ke jaan nikal jaane ka andesha ho jaaye. (Shaami: 7/488, Fasl Fil Awaarizul Mubiha)

7) Aurton keliye haalat-e-haiz aur haalat-e-nifaas mein rozah rakhna jaaiz nahin hai.

 Note: In Majburiyon ke khatm ho jaane ke baad tamaam chhoote huwe rozon ki qaza farz hai.

Share on: Telegram | WhatsApp