1) Sharai musaafir keliye haalate Safar Mein Rozah na Rakhna Jaaiz
hai, lekin agar safar mein mashaqqat na ho to rozah rakhna behtar hai.
(Shaami: 7/488, Fasl Fil Awaarizul Mubiha)
2) Marz yani aisi beemaari ke jis ki )wajahse rozah rakhne ki
taaqat na ho ya beemaari ke badh jaane ka andesha ho. (Shaami: 7/488,
Fasl Fil Awaarizul Mubiha)
3) Bahot ziyaada kamzor hona. (Shaami: 7/489, Fasl Fil Awaarizul Mubiha)
4) Haamela hona, jab ke aurat ko ya hamal ko rozeh se nuqsaan
pahunchne ka gaalib gumaan ho. (Shaami: 7/488, Fasl Fil Awaarizul
Mubiha)
5) Doodh pilaana, jab ke Doodh pilaane waali ko ya bachhe ko
rozeh se nuqsaan pahunchta ho. (Shaami: 7/488, Fasl Fil Awaarizul
Mubiha)
6) Rozeh ki Wajah se is qadar bhook ya pyaas ka galba ho ke jaan
nikal jaane ka andesha ho jaaye. (Shaami: 7/488, Fasl Fil Awaarizul
Mubiha)
7) Aurton keliye haalat-e-haiz aur haalat-e-nifaas mein rozah rakhna jaaiz nahin hai.
Note: In Majburiyon ke khatm ho jaane ke baad tamaam chhoote huwe rozon ki qaza farz hai.
No comments:
Post a Comment